ye aalam ab dhuen ka kar-KHana lag raha hai
ye 'ālam ab dhueñ kā kār-ḳhāna lag rahā hai
barāh-e-rāst sāñsoñ par nishāna lag rahā hai
hamāre 'ahd kī haivāniyat kā surḳh qissa
qurūn-e-jāhiliyyat kā fasāna lag rahā hai
charāġhoñ ko muhayyā kījiye sūraj-panāhī
havāoñ kā ravayya jārihāna lag rahā hai
tirā mamnūn huuñ ai jazba-e-sahrā-navardī
sulagtī ret kā manzar suhānā lag rahā hai
hamārī vaz'-dārī ko sarāho chārasāzo
nayā zaḳhm-e-ta.alluq bhī purānā lag rahā hai
ham apne sabz-o-nam uslūb ke maare hue haiñ
nayā lahja bhī ab ham ko purānā lag rahā hai
kisī āhañg-e-nau kī justujū meñ hai musalsal
ye merā dil jo be-tabl-o-tarāna lag rahā hai
hazāroñ sūrateñ haiñ mun.akis chehra-ba-chehra
makān-e-shash-jihat ā.īna-ḳhāna lag rahā hai
hameñ darkār hai ik dūsre kā kāsa-e-sar
ba-zāhir ham meñ gahrā dostāna lag rahā hai
zamīñ kī gahrī ḳhāmoshī nahīñ be-vaj.h 'jauhar'
zamīñ meñ dafn rāzoñ kā ḳhazāna lag rahā hai
ye 'alam ab dhuen ka kar-KHana lag raha hai
barah-e-rast sanson par nishana lag raha hai
hamare 'ahd ki haiwaniyat ka surKH qissa
qurun-e-jahiliyyat ka fasana lag raha hai
charaghon ko muhayya kijiye suraj-panahi
hawaon ka rawayya jarihana lag raha hai
tera mamnun hun ai jazba-e-sahra-nawardi
sulagti ret ka manzar suhana lag raha hai
hamari waz'-dari ko saraho chaarasazo
naya zaKHm-e-talluq bhi purana lag raha hai
hum apne sabz-o-nam uslub ke mare hue hain
naya lahja bhi ab hum ko purana lag raha hai
kisi aahang-e-nau ki justuju mein hai musalsal
ye mera dil jo be-tabl-o-tarana lag raha hai
hazaron suraten hain munakis chehra-ba-chehra
makan-e-shash-jihat aaina-KHana lag raha hai
hamein darkar hai ek dusre ka kasa-e-sar
ba-zahir hum mein gahra dostana lag raha hai
zamin ki gahri KHamoshi nahin be-wajh 'jauhar'
zamin mein dafn raazon ka KHazana lag raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.