ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki
ye aañkh bhī ye ḳhvāb bhī ye raat usī kī
har baat pe yaad aa.ī hai har baat usī kī
jugnū se chamakte haiñ usī yaad ke har-dam
āñkhoñ meñ liye phirte haiñ sauġhāt usī kī
har sho.ale ke pīchhe hai usī aag kī sūrat
har baat ke parde meñ hikāyāt usī kī
phir vahshat-e-dil DhūñDhtī phirtī hai hamesha
dīvāngī-e-ġham pe mudārāt usī kī
ā.īne kā aur aks kā rishta mirā us kā
ab jiit mirī us kī hai aur maat usī kī
lafzoñ meñ sajāte haiñ usī husn kī ḳhushbū
āñkhoñ meñ chhupāte haiñ shikāyāt usī kī
kyā kījiye achchhī hameñ lagtī hai hamesha
dīvāngī-e-dil meñ har ik baat usī kī
jis shaḳhs ne manzar ko na.e phuul diye the
haiñ daur-e-ḳhizāñ par bhī ināyāt usī kī
aatā hai nazar majma-e-ahbāb meñ 'ādil'
lākhoñ meñ akelī hai magar zaat usī kī
ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki
har baat pe yaad aai hai har baat usi ki
jugnu se chamakte hain usi yaad ke har-dam
aankhon mein liye phirte hain saughat usi ki
har shoale ke pichhe hai usi aag ki surat
har baat ke parde mein hikayat usi ki
phir wahshat-e-dil DhunDhti phirti hai hamesha
diwangi-e-gham pe mudaraat usi ki
aaine ka aur aks ka rishta mera us ka
ab jit meri us ki hai aur mat usi ki
lafzon mein sajate hain usi husn ki KHushbu
aankhon mein chhupate hain shikayat usi ki
kya kijiye achchhi hamein lagti hai hamesha
diwangi-e-dil mein har ek baat usi ki
jis shaKHs ne manzar ko nae phul diye the
hain daur-e-KHizan par bhi inayat usi ki
aata hai nazar majma-e-ahbab mein 'adil'
lakhon mein akeli hai magar zat usi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.