ye aankhen khulin jab se kya kya na dekha
ye āñkheñ khulīñ jab se kyā kyā na dekhā
magar dekhnā jis ko chāhā na dekhā
ye tanhā.ī-e-dasht-e-ġhurbat kī had hai
kabhī dhuup meñ apnā saayā na dekhā
butoñ kī jagah aur āshiq ke dil meñ
yahī sang-o-shīsha meñ yaarā na dekhā
agar diid se kaam hī kuchh na niklā
to kyā fā.eda jaise dekhā na dekhā
lahū se bharī apnī chuTkī to dhoī
magar tum ne merā kalejā na dekhā
burā maan jātīñ vo bīmār āñkheñ
ye achchhā huā tujh ko achchhā na dekhā
mirī chashm-e-pur-āb ab tum ne dekhī
na kahnā ki kuuze meñ dariyā na dekhā
yahāñ dair meñ kī ziyārat butoñ kī
vahāñ kuchh haram meñ na paayā na dekhā
ye aankhen khulin jab se kya kya na dekha
magar dekhna jis ko chaha na dekha
ye tanhai-e-dasht-e-ghurbat ki had hai
kabhi dhup mein apna saya na dekha
buton ki jagah aur aashiq ke dil mein
yahi sang-o-shisha mein yara na dekha
agar did se kaam hi kuchh na nikla
to kya faeda jaise dekha na dekha
lahu se bhari apni chuTki to dhoi
magar tum ne mera kaleja na dekha
bura man jatin wo bimar aankhen
ye achchha hua tujh ko achchha na dekha
meri chashm-e-pur-ab ab tum ne dekhi
na kahna ki kuze mein dariya na dekha
yahan dair mein ki ziyarat buton ki
wahan kuchh haram mein na paya na dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.