ye aankhon hi aankhon mein kya ho gae hum
ye āñkhoñ hī āñkhoñ meñ kyā ho ga.e ham
abhī jāgte the abhī so ga.e ham
maqām-e-tajassus ik aisā bhī aayā
ki paayā tujhe aur ḳhud kho ga.e ham
tire ġham ko ḳhud se bhī ham ne chhupāyā
magar phir bhī rusvā-e-ġham ho ga.e ham
jo ab tak the zeb-e-qabā-e-mohabbat
kuchh aise bhī motī kabhī ro ga.e ham
anāsir ne liiñ hichkiyāñ saañs ukhḌī
kahā ishq ne jāvedāñ ho ga.e ham
ye me.arāj-e-dard-e-mohabbat hai shāyad
ki terī nazar meñ bhī ġham bo ga.e ham
taḌapne meñ 'altāf' vo lazzateñ thiiñ
ki taḌpe na jī bhar ke aur so ga.e ham
ye aankhon hi aankhon mein kya ho gae hum
abhi jagte the abhi so gae hum
maqam-e-tajassus ek aisa bhi aaya
ki paya tujhe aur KHud kho gae hum
tere gham ko KHud se bhi hum ne chhupaya
magar phir bhi ruswa-e-gham ho gae hum
jo ab tak the zeb-e-qaba-e-mohabbat
kuchh aise bhi moti kabhi ro gae hum
anasir ne lin hichkiyan sans ukhDi
kaha ishq ne jawedan ho gae hum
ye mearaj-e-dard-e-mohabbat hai shayad
ki teri nazar mein bhi gham bo gae hum
taDapne mein 'altaf' wo lazzaten thin
ki taDpe na ji bhar ke aur so gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.