ye aansu rok rakhe hain ba-mushkil din guzare hain
ye aañsū rok rakhe haiñ ba-mushkil din guzāre haiñ
tumheñ dikhte nahīñ haiñ jo sabhī vo ġham tumhāre haiñ
khulī zulfeñ hañsī chehra tumhārī jhiil sī āñkheñ
hameñ pāgal na kar deñ ye bahut dilkash nazāre haiñ
hamārī uñgliyoñ se aaj tak ḳhushbū nahīñ jaatī
kisī ke reshmī gesū kabhī itne sañvāre haiñ
kise vishvās hogā ham milan-taT chhū nahīñ paa.e
rahe nazdīk yuuñ jaise nadī ke do kināre haiñ
muhājir ho gayā huuñ dev kuchh majbūriyoñ ḳhātir
javāñ hone lage bachche bahut ḳharche hamāre haiñ
ye aansu rok rakhe hain ba-mushkil din guzare hain
tumhein dikhte nahin hain jo sabhi wo gham tumhaare hain
khuli zulfen hansi chehra tumhaari jhil si aankhen
hamein pagal na kar den ye bahut dilkash nazare hain
hamari ungliyon se aaj tak KHushbu nahin jati
kisi ke reshmi gesu kabhi itne sanware hain
kise wishwas hoga hum milan-taT chhu nahin pae
rahe nazdik yun jaise nadi ke do kinare hain
muhajir ho gaya hun dew kuchh majburiyon KHatir
jawan hone lage bachche bahut KHarche hamare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.