ye aarzu hai hazar mein hon ya safar mein rahen
ye aarzū hai hazar meñ hoñ yā safar meñ raheñ
tire ḳhayāl meñ guzreñ tirī nazar meñ raheñ
jo yād-e-yār satātī hai ab na fikr-e-visāl
to chal ke duur kahīñ arsa-e-ḳhatar meñ raheñ
ajiib lutf se guzreñ ye din jo yuuñ guzreñ
ki tere dil meñ raheñ aur apne ghar meñ raheñ
ye sādgī hai ki dil chāhtā hai yuuñ bhī ho
kabhī zamīñ pe raheñ aur kabhī qamar meñ raheñ
ye aarzu hai hazar mein hon ya safar mein rahen
tere KHayal mein guzren teri nazar mein rahen
jo yaad-e-yar satati hai ab na fikr-e-visal
to chal ke dur kahin arsa-e-KHatar mein rahen
ajib lutf se guzren ye din jo yun guzren
ki tere dil mein rahen aur apne ghar mein rahen
ye sadgi hai ki dil chahta hai yun bhi ho
kabhi zamin pe rahen aur kabhi qamar mein rahen
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 529)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.