ye aarzu hai raat ka manzar dikhai de
ye aarzū hai raat kā manzar dikhā.ī de
phir āsmāñ kā chāñd zamīñ par dikhā.ī de
ham sair kar rahe haiñ ḳhalāoñ kī rāt-din
mumkin nahīñ ki koī samundar dikhā.ī de
merī shahādatoñ kā karishma to dekhiye
ab to lahū kī buuñd bhī ḳhanjar dikhā.ī de
mujh ko safar qubūl hai lekin hai ek shart
maiñ jis taraf bhī jā.ūñ mirā ghar dikhā.ī de
muddat se pāniyoñ kā safar kar rahe haiñ log
yārab kahīñ to koī payambar dikhā.ī de
ye aarzu hai raat ka manzar dikhai de
phir aasman ka chand zamin par dikhai de
hum sair kar rahe hain KHalaon ki raat-din
mumkin nahin ki koi samundar dikhai de
meri shahadaton ka karishma to dekhiye
ab to lahu ki bund bhi KHanjar dikhai de
mujh ko safar qubul hai lekin hai ek shart
main jis taraf bhi jaun mera ghar dikhai de
muddat se paniyon ka safar kar rahe hain log
yarab kahin to koi payambar dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.