ye aasman zamin ke honT chumta hua na ho
ye āsmāñ zamīñ ke hoñT chūmtā huā na ho
kise ḳhabar hai kal talak yahāñ pe kyā ho kyā na ho
vo mujh se mil ke bhī kisī se vasl kī duā kare
ajiib peḌ hai jo paanī pī ke bhī harā na ho
ye dastakeñ kivāḌ par baras rahī haiñ jis tarah
kivāḌ hī kī nabz-āshnā koī havā na ho
vo kam-suḳhan sahī magar koī to aur baat hai
ḳhamoshiyoñ kī aaḌ meñ vo dard sah rahā na ho
maiñ tum se apne dil kī vārdāt kah to duuñ magar
agar hamārā rāsta yahīñ kahīñ judā na ho
gale lagā rahī ho to ḳhayāl bhī rahe 'ufuq'
tumheñ jo ishq lag rahā hai asl meñ balā na ho
ye aasman zamin ke honT chumta hua na ho
kise KHabar hai kal talak yahan pe kya ho kya na ho
wo mujh se mil ke bhi kisi se wasl ki dua kare
ajib peD hai jo pani pi ke bhi hara na ho
ye dastaken kiwaD par baras rahi hain jis tarah
kiwaD hi ki nabz-ashna koi hawa na ho
wo kam-suKHan sahi magar koi to aur baat hai
KHamoshiyon ki aaD mein wo dard sah raha na ho
main tum se apne dil ki wardat kah to dun magar
agar hamara rasta yahin kahin juda na ho
gale laga rahi ho to KHayal bhi rahe 'ufuq'
tumhein jo ishq lag raha hai asl mein bala na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.