ye ab jo meri zaban par tumhaara nam nahin
ye ab jo merī zabāñ par tumhārā naam nahīñ
ise muāfī samajh lenā intiqām nahīñ
mujhe patā hai jo tujh ko ḳhudā samajhte haiñ
vahī haiñ jin kī ḳhudā se duā salām nahīñ
mire alāva koī merī baat suntā nahīñ
aur āj-kal to maiñ ḳhud se bhī ham-kalām nahīñ
isī liye to suhūlat se jal rahe haiñ charāġh
unheñ patā hai havā kā koī nizām nahīñ
to phir vo mere liye ahmiyat nahīñ rakhtā
kisī ke dil meñ agar terā ehtirām nahīñ
ye ab jo meri zaban par tumhaara nam nahin
ise muafi samajh lena intiqam nahin
mujhe pata hai jo tujh ko KHuda samajhte hain
wahi hain jin ki KHuda se dua salam nahin
mere alawa koi meri baat sunta nahin
aur aaj-kal to main KHud se bhi ham-kalam nahin
isi liye to suhulat se jal rahe hain charagh
unhen pata hai hawa ka koi nizam nahin
to phir wo mere liye ahmiyat nahin rakhta
kisi ke dil mein agar tera ehtiram nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.