ye ab ke kaisi mushkil ho gai hai
ye ab ke kaisī mushkil ho ga.ī hai
bhaTaktī mauj sāhil ho ga.ī hai
mayassar qurbateñ ab bhī haiñ lekin
koī dīvār haa.il ho ga.ī hai
hai hāfiz ab ḳhudā hī vādiyoñ kā
balā-e-koh nāzil ho ga.ī hai
kahīñ koī sitāra bujh gayā hai
shikasta-rañg mahfil ho ga.ī hai
isī se kar lo andāza safar kā
qarīb aa duur manzil ho ga.ī hai
ye ab ke kaisi mushkil ho gai hai
bhaTakti mauj sahil ho gai hai
mayassar qurbaten ab bhi hain lekin
koi diwar hail ho gai hai
hai hafiz ab KHuda hi wadiyon ka
bala-e-koh nazil ho gai hai
kahin koi sitara bujh gaya hai
shikasta-rang mahfil ho gai hai
isi se kar lo andaza safar ka
qarib aa dur manzil ho gai hai
- Book : Aiwan (Pg. 40)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.