ye ada-e-guftugu achchhi nahin
ye adā-e-guftugū achchhī nahīñ
us se itnī dū-ba-dū achchhī nahīñ
har ghaḌī merī burā.ī lab pe hai
husn vāloñ kī ye ḳhū achchhī nahīñ
mere afsāne ke unvāñ kī tarah
ye hadīs-e-rañg-o-bū achchhī nahīñ
ranj-o-ġham andoh-e-hasrat ke tufail
koī dil kī aarzū achchhī nahīñ
tū ulajhtā hai zamāne se abas
ye bhī ḳhū-e-nukta-jū achchhī nahīñ
gardish-e-ayyām to Tal jā.egī
gardish-e-jām-o-subū achchhī nahīñ
rāt-din rahte haiñ vo mahv-e-suḳhan
hazrat-e-'rahbar' kī ḳhū achchhī nahīñ
ye ada-e-guftugu achchhi nahin
us se itni du-ba-du achchhi nahin
har ghaDi meri burai lab pe hai
husn walon ki ye KHu achchhi nahin
mere afsane ke unwan ki tarah
ye hadis-e-rang-o-bu achchhi nahin
ranj-o-gham andoh-e-hasrat ke tufail
koi dil ki aarzu achchhi nahin
tu ulajhta hai zamane se abas
ye bhi KHu-e-nukta-ju achchhi nahin
gardish-e-ayyam to Tal jaegi
gardish-e-jam-o-subu achchhi nahin
raat-din rahte hain wo mahw-e-suKHan
hazrat-e-'rahbar' ki KHu achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.