ye aisa sach hai nahin jis mein koi shak baba
ye aisā sach hai nahīñ jis meñ koī shak baabā
baġhair pyaar ke hai ziist be-namak baabā
talab thī jis ko bahar-gām manzil-e-maqsūd
guzar gayā rah-e-mushkil se be-jhijak baabā
qarīb-tar hai maqām-e-ḳhudā se vo phir bhī
bashar se baḌh ke nahīñ rif.at-e-malak baabā
shahīd ho ga.e mansūr haq-parastī meñ
chamak rahā hai lahū un kā aaj tak baabā
zamāne bhar kī bahut ḳhaak chhān lī ham ne
pahuñch sake hī nahīñ dil kī raah tak baabā
ye aisa sach hai nahin jis mein koi shak baba
baghair pyar ke hai zist be-namak baba
talab thi jis ko bahar-gam manzil-e-maqsud
guzar gaya rah-e-mushkil se be-jhijak baba
qarib-tar hai maqam-e-KHuda se wo phir bhi
bashar se baDh ke nahin rifat-e-malak baba
shahid ho gae mansur haq-parasti mein
chamak raha hai lahu un ka aaj tak baba
zamane bhar ki bahut KHak chhan li hum ne
pahunch sake hi nahin dil ki rah tak baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.