ye aise dard ka lamha hai bhai
ye aise dard kā lamha hai bhaa.ī
yahāñ har shaḳhs afsurda hai bhaa.ī
sulagtī ḳhvāhishoñ ke peḌ par kyoñ
parinda karb kā baiThā hai bhaa.ī
hamāre aur us ke darmiyāñ ab
bas ik TuuTā huā rishta hai bhaa.ī
zamāna kuchh kahe lekin ġhazal meñ
hameñ to sirf sach likhnā hai bhaa.ī
yahāñ har shaḳhs mujh se pūchhtā hai
sukūn-e-dil kahāñ miltā hai bhaa.ī
nahīñ hai māl-o-daulat paas 'sāhir'
magar ik ḳhvāb to apnā hai bhaa.ī
ye aise dard ka lamha hai bhai
yahan har shaKHs afsurda hai bhai
sulagti KHwahishon ke peD par kyon
parinda karb ka baiTha hai bhai
hamare aur us ke darmiyan ab
bas ek TuTa hua rishta hai bhai
zamana kuchh kahe lekin ghazal mein
hamein to sirf sach likhna hai bhai
yahan har shaKHs mujh se puchhta hai
sukun-e-dil kahan milta hai bhai
nahin hai mal-o-daulat pas 'sahir'
magar ek KHwab to apna hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.