ye alag baat ki peshani pe bal aaega
ye alag baat ki peshānī pe bal aa.egā
ġhaur karte raho kuchh hal bhī nikal aa.egā
biij bhī Daal de ummīd-e-samar bhī taj de
jab tirī nasl javāñ hogī to phal aa.egā
maslahat oḌh ke chup-chāp tamāshā ban jā
jo bhī aa.egā muḳhālif tire hal aa.egā
ek qānūn-e-mukāfāt-e-amal hai zālim
aaj jo kartā hai tū sāmne kal aa.egā
umr guzrī hai kabhī diid kī lazzat mil jaa.e
jaane kab merī nigāhoñ meñ vo pal aa.egā
'dānishā' bazm meñ un kī to ġhazal jhuum ke paḌh
un kī jānib se bhī kuchh radd-e-amal aa.egā
ye alag baat ki peshani pe bal aaega
ghaur karte raho kuchh hal bhi nikal aaega
bij bhi Dal de ummid-e-samar bhi taj de
jab teri nasl jawan hogi to phal aaega
maslahat oDh ke chup-chap tamasha ban ja
jo bhi aaega muKHalif tere hal aaega
ek qanun-e-mukafat-e-amal hai zalim
aaj jo karta hai tu samne kal aaega
umr guzri hai kabhi did ki lazzat mil jae
jaane kab meri nigahon mein wo pal aaega
'danisha' bazm mein un ki to ghazal jhum ke paDh
un ki jaanib se bhi kuchh radd-e-amal aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.