ye alag baat ki rah rah ke sada aai hai
ye alag baat ki rah rah ke sadā aa.ī hai
maiñ ne bhī ab ke na sunñe kī qasam khaa.ī hai
ab vo ik naam pukārūñ to zabāñ chhil jaa.e
haañ vahī naam ki jo hāsil-e-goyā.ī hai
raat din yaar kī galiyoñ meñ paḌā rahtā huuñ
ishq kā ishq hai rusvā.ī kī rusvā.ī hai
aisī tanhā.ī kā aalam hai ki dil Duub gayā
aur is par ye ġhazab hai terī yaad aa.ī hai
tum agar ḳhuun bhī ro.o to bhalā kyā hāsil
ham na kahte the vo laḌkī baḌī harjā.ī hai
haa.e vo āñkheñ jo raushan haiñ tasavvur meñ mire
haa.e vo shakl jo ġhazloñ meñ utar aa.ī hai
ab ye aalam hai ki ash.ār meñ ḳhuuñ thūktā huuñ
aur vo kahte haiñ faqat qāfiya-paimā.ī hai
ishq jā niklā thā phir kū-e-malāmat kī taraf
aql phir khīñch ke dīvāne ko le aa.ī hai
haa.e vo ālam-e-sad-shauq use chuum liyā
terā paiġhām jo chupke se sabā laa.ī hai
ye alag baat ki rah rah ke sada aai hai
main ne bhi ab ke na sunne ki qasam khai hai
ab wo ek nam pukarun to zaban chhil jae
han wahi nam ki jo hasil-e-goyai hai
raat din yar ki galiyon mein paDa rahta hun
ishq ka ishq hai ruswai ki ruswai hai
aisi tanhai ka aalam hai ki dil Dub gaya
aur is par ye ghazab hai teri yaad aai hai
tum agar KHun bhi roo to bhala kya hasil
hum na kahte the wo laDki baDi harjai hai
hae wo aankhen jo raushan hain tasawwur mein mere
hae wo shakl jo ghazlon mein utar aai hai
ab ye aalam hai ki ashaar mein KHun thukta hun
aur wo kahte hain faqat qafiya-paimai hai
ishq ja nikla tha phir ku-e-malamat ki taraf
aql phir khinch ke diwane ko le aai hai
hae wo aalam-e-sad-shauq use chum liya
tera paigham jo chupke se saba lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.