ye alag baat ki taklif baDha deta hai
ye alag baat ki taklīf baḌhā detā hai
aa.ina mujh ko magar mujh se milā detā hai
ik taraf aañkh ki nīñdoñ ke liye pāgal hai
ik taraf ḳhvāb jo nīñdoñ ko uḌā detā hai
ishq ne phir se pukārā to khulā hai ham par
hijr āvāz badal kar bhī sadā detā hai
mujh ko sailāb se bachne kī duā de kar vo
āñsuoñ ko mirī taqdīr banā detā hai
kaun paanī meñ Dubo detā hai jaltā sūraj
kaun is paanī meñ mahtāb sajā detā hai
sunnat-e-'qais' kā pāband huuñ varna yaaro
ik nayā ishq mujhe roz sadā detā hai
ye alag baat ki taklif baDha deta hai
aaina mujh ko magar mujh se mila deta hai
ek taraf aankh ki nindon ke liye pagal hai
ek taraf KHwab jo nindon ko uDa deta hai
ishq ne phir se pukara to khula hai hum par
hijr aawaz badal kar bhi sada deta hai
mujh ko sailab se bachne ki dua de kar wo
aansuon ko meri taqdir bana deta hai
kaun pani mein Dubo deta hai jalta suraj
kaun is pani mein mahtab saja deta hai
sunnat-e-'qais' ka paband hun warna yaro
ek naya ishq mujhe roz sada deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.