ye alag baat ki wo mujhse KHafa rahta hai
ye alag baat ki vo mujh se ḳhafā rahtā hai
maiñ ik insān huuñ aur mujh meñ ḳhudā rahtā hai
merī bātoñ meñ bahut us kī jhalak aatī hai
us ke lahje meñ mirā zehn basā rahtā hai
qaid meñ us se bahādur na koī dekhā thā
ab jo āzād hai thoḌā sā Darā rahtā hai
aur logoñ kī nigāhoñ meñ burā ho lekin
apnī nazroñ meñ bhī gir jaa.e to kyā rahtā hai
pul se guzre to nadī dhyān se dekhī ham ne
varna manzar ye nigāhoñ se chhupā rahtā hai
ye alag baat ki wo mujh se KHafa rahta hai
main ek insan hun aur mujh mein KHuda rahta hai
meri baaton mein bahut us ki jhalak aati hai
us ke lahje mein mera zehn basa rahta hai
qaid mein us se bahadur na koi dekha tha
ab jo aazad hai thoDa sa Dara rahta hai
aur logon ki nigahon mein bura ho lekin
apni nazron mein bhi gir jae to kya rahta hai
pul se guzre to nadi dhyan se dekhi hum ne
warna manzar ye nigahon se chhupa rahta hai
- Book : Soch Samajh (Pg. 56)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.