ye amal mauja-e-anfas ka dhoka hi na ho
ye amal mauja-e-anfās kā dhokā hī na ho
zindagī ishrat-e-ehsās kā dhokā hī na ho
jaise ik ḳhvāb huā ahd-e-guzishta kā sabāt
dam-e-ā.inda mirī aas kā dhokā hī na ho
ye nagīñ bhī na ho bas mo.ajaza-e-tār-e-nazar
ye hunar shīsha-o-almās kā dhokā hī na ho
mire taḳh.īl ke hī aks na hoñ sabza-o-gul
dahr auhām kā vasvās kā dhokā hī na ho
har yaqīñ meñ jo nikaltā hai gumāñ kā pahlū
ye mirī aql ke ḳhannās kā dhokā hī na ho
ye amal mauja-e-anfas ka dhoka hi na ho
zindagi ishrat-e-ehsas ka dhoka hi na ho
jaise ek KHwab hua ahd-e-guzishta ka sabaat
dam-e-ainda meri aas ka dhoka hi na ho
ye nagin bhi na ho bas moajaza-e-tar-e-nazar
ye hunar shisha-o-almas ka dhoka hi na ho
mere taKHil ke hi aks na hon sabza-o-gul
dahr auham ka waswas ka dhoka hi na ho
har yaqin mein jo nikalta hai guman ka pahlu
ye meri aql ke KHannas ka dhoka hi na ho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 475)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.