ye anasir se bana tan ka makan kuchh bhi nahin
ye anāsir se banā tan kā makāñ kuchh bhī nahīñ
māsivā-e-zahmat o bār-e-garāñ kuchh bhī nahīñ
us kī rahmat ke binā hai zindagī be-fā.eda
chaar din kā khel hai umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
jism kī lazzat ke pīchhe kyoñ bhaTaktā hai mudām
ruuh meñ rab ko basā le jism-o-jāñ kuchh bhī nahīñ
haiñ ġharaz ke rishte-nāte ho zarūrat to lagāv
varna bāham dostoñ ke darmiyāñ kuchh bhī nahīñ
aaj hai terī jo daulat chhoḌ bhī saktī hai saath
sīm-o-zar imlāk arāzī jāvedāñ kuchh bhī nahīñ
hai ḳhudā rozī-rasāñ jo māñgnā hai us se maañg
ho na us kā izn to miltā yahāñ kuchh bhī nahīñ
ruuh kī gahrā.iyoñ se us kī ban jā 'nāzlī'
ek tū ho aur ḳhudā ho darmiyāñ kuchh bhī nahīñ
ye anasir se bana tan ka makan kuchh bhi nahin
masiwa-e-zahmat o bar-e-garan kuchh bhi nahin
us ki rahmat ke bina hai zindagi be-faeda
chaar din ka khel hai umr-e-rawan kuchh bhi nahin
jism ki lazzat ke pichhe kyon bhaTakta hai mudam
ruh mein rab ko basa le jism-o-jaan kuchh bhi nahin
hain gharaz ke rishte-nate ho zarurat to lagaw
warna baham doston ke darmiyan kuchh bhi nahin
aaj hai teri jo daulat chhoD bhi sakti hai sath
sim-o-zar imlak araazi jawedan kuchh bhi nahin
hai KHuda rozi-rasan jo mangna hai us se mang
ho na us ka izn to milta yahan kuchh bhi nahin
ruh ki gahraiyon se us ki ban ja 'nazli'
ek tu ho aur KHuda ho darmiyan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.