ye apna wasf-e-derina ki ayyari nahin karte
ye apnā vasf-e-derīna ki ayyārī nahīñ karte
vatan se ham kisī qīmat pe ġhaddārī nahīñ karte
giraftār-e-balā rahte haiñ lekin shukr hai yaaro
kisī taur apnī ham nīlām ḳhuddārī nahīñ karte
abhī ḳhanjar liye rahtā hai galiyāroñ meñ har koī
uḌegā sar tumhārā bhī ki hushyārī nahīñ karte
gile is ke alāva kuchh na hoñge pūchh kar dekho
ham un ke dar pe sub.h-o-shām darbārī nahīñ karte
hamārī be-gunāhī ho ga.ī shāmil gunāhoñ meñ
to munsif kis liye hukm-e-sazā jaarī nahīñ karte
vo jin ke ḳhāna-e-dil meñ hai qindil-e-anā raushan
ġhalat rasm-o-rivāyat kī taraf-dārī nahīñ karte
ḳhudā ke nek bandoñ kī hai ye pahchān ai 'anjum'
vo apne kyā parā.e kī dil-āzārī nahīñ karte
ye apna wasf-e-derina ki ayyari nahin karte
watan se hum kisi qimat pe ghaddari nahin karte
giraftar-e-bala rahte hain lekin shukr hai yaro
kisi taur apni hum nilam KHuddari nahin karte
abhi KHanjar liye rahta hai galiyaron mein har koi
uDega sar tumhaara bhi ki hushyari nahin karte
gile is ke alawa kuchh na honge puchh kar dekho
hum un ke dar pe subh-o-sham darbari nahin karte
hamari be-gunahi ho gai shamil gunahon mein
to munsif kis liye hukm-e-saza jari nahin karte
wo jin ke KHana-e-dil mein hai qindil-e-ana raushan
ghalat rasm-o-riwayat ki taraf-dari nahin karte
KHuda ke nek bandon ki hai ye pahchan ai 'anjum'
wo apne kya parae ki dil-azari nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.