ye ashk yun meri aankhon se kam nikalta hai
ye ashk yuuñ mirī āñkhoñ se kam nikaltā hai
ġhazal ke rang meñ rātoñ meñ ġham nikaltā hai
nahīñ ki chashm-e-ġhazal ko bhigo.e jaa.eñ ham
ki dil hī ro.e to phir sher nam nikaltā hai
navāztā hai vo kāġhaz ko naġhmagī kī ridā
vafā kā zikr jo karne qalam nikaltā hai
sitam-tarāz tarāshe sitam to kyā ġham hai
ki ab sitam bhī ba-tarz-e-karam nikaltā hai
vo aur vaqt thā jab un se ras Tapaktā thā
ki ab gulāb laboñ se bhī sam nikaltā hai
batāo shahr meñ ḳhud sā kahāñ talāsh karūñ
jise bhī dekho vahī mohtaram nikaltā hai
baḌhā.ī jaatī haiñ is tarah dhaḌkaneñ dil kī
mire huzūr hī zulfoñ meñ ḳham nikaltā hai
ye kaun chāñd sā utrā hai ḳhāna-e-dil meñ
ki jis ko dekh añdheroñ kā dam nikaltā hai
ḳhushī manāo ai ahl-e-ḳhirad ki ab to junūñ
tumhāre shahr se sū-e-adam nikaltā hai
ye ashk yun meri aankhon se kam nikalta hai
ghazal ke rang mein raaton mein gham nikalta hai
nahin ki chashm-e-ghazal ko bhigoe jaen hum
ki dil hi roe to phir sher nam nikalta hai
nawazta hai wo kaghaz ko naghmagi ki rida
wafa ka zikr jo karne qalam nikalta hai
sitam-taraaz tarashe sitam to kya gham hai
ki ab sitam bhi ba-tarz-e-karam nikalta hai
wo aur waqt tha jab un se ras Tapakta tha
ki ab gulab labon se bhi sam nikalta hai
batao shahr mein KHud sa kahan talash karun
jise bhi dekho wahi mohtaram nikalta hai
baDhai jati hain is tarah dhaDkanen dil ki
mere huzur hi zulfon mein KHam nikalta hai
ye kaun chand sa utra hai KHana-e-dil mein
ki jis ko dekh andheron ka dam nikalta hai
KHushi manao ai ahl-e-KHirad ki ab to junun
tumhaare shahr se su-e-adam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.