ye aur baat hai bad-namiyon ke ghar mein raha
ye aur baat hai bad-nāmiyoñ ke ghar meñ rahā
yahī bahut hai ki maiñ aap kī nazar meñ rahā
na rāstoñ kā pata thā na manzileñ ma.alūm
safar tamām huā aur maiñ safar meñ rahā
kisī kī zulf kā saaya kahāñ nasīb huā
tamām umr sulagtī sī dopahar meñ rahā
hazāroñ qāfile manzil pe jā ke lauT aa.e
maiñ sang-e-mīl kī mānind rahguzar meñ rahā
vo jis ne rakh diye dushman ke sāmne hathiyār
amīr-e-fauj kī fihrist-e-mo'atabar meñ rahā
ḳhud apne jism kī parchhā.iyoñ meñ so jaao
ḳhizāñ kā daur hai saaya kahāñ shajar meñ rahā
qadam qadam pe lagī Thes ābgīnoñ ko
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb sīm-o-zar meñ rahā
ye aur baat hai bad-namiyon ke ghar mein raha
yahi bahut hai ki main aap ki nazar mein raha
na raston ka pata tha na manzilen malum
safar tamam hua aur main safar mein raha
kisi ki zulf ka saya kahan nasib hua
tamam umr sulagti si dopahar mein raha
hazaron qafile manzil pe ja ke lauT aae
main sang-e-mil ki manind rahguzar mein raha
wo jis ne rakh diye dushman ke samne hathiyar
amir-e-fauj ki fihrist-e-mo'atabar mein raha
KHud apne jism ki parchhaiyon mein so jao
KHizan ka daur hai saya kahan shajar mein raha
qadam qadam pe lagi Thes aabginon ko
KHayal-e-KHatir-e-ahbab sim-o-zar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.