ye aur baat hai ki sahaara nahin bane
ye aur baat hai ki sahārā nahīñ bane
lekin kisī kī raah kā kāñTā nahīñ bane
yāroñ ke ham ne aib chhupā.e haiñ bārhā
un ko bachāyā ḳhud bhī tamāsha nahīñ bane
dushvār rāstoñ kā unheñ tajraba nahīñ
manzil jo log ban ga.e rastā nahīñ bane
insān hī to ban nahīñ paa.e jo aham thā
vaise to log banñe ko kyā kyā nahīñ bane
tum se baḌī umiid lagā rakkhī thī magar
tum bhī to mere haq meñ masīhā nahīñ bane
'nusrat' vo ham se is liye nārāz haiñ ki ham
un kī bulā.ī bhiiḌ kā hissa nahīñ bane
ye aur baat hai ki sahaara nahin bane
lekin kisi ki rah ka kanTa nahin bane
yaron ke hum ne aib chhupae hain barha
un ko bachaya KHud bhi tamasha nahin bane
dushwar raston ka unhen tajraba nahin
manzil jo log ban gae rasta nahin bane
insan hi to ban nahin pae jo aham tha
waise to log banne ko kya kya nahin bane
tum se baDi umid laga rakkhi thi magar
tum bhi to mere haq mein masiha nahin bane
'nusrat' wo hum se is liye naraaz hain ki hum
un ki bulai bhiD ka hissa nahin bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.