ye aur baat ki gamle mein ug raha hun main
ye aur baat ki gamle meñ ug rahā huuñ maiñ
zabān bhuul na paa.e vo zā.iqa huuñ maiñ
añdherī shab meñ harārat badan kī raushan rakh
vahī karūñgā ishāra jo kar rahā huuñ maiñ
suḳhan safar meñ badan us ne khol rakkhe haiñ
zarā sā sāya-e-dīvār chāhtā huuñ maiñ
maiñ chāhtā huuñ kahūñ ek nak-chaḌhī sī ġhazal
agarche halqa-e-yārāñ meñ nak-chaḌhā huuñ maiñ
mujhe qarīb se dekho mujhe paḌho samjho
na.e safar na.e mausam kā qāfila huuñ maiñ
ye aur baat ki gamle mein ug raha hun main
zaban bhul na pae wo zaiqa hun main
andheri shab mein hararat badan ki raushan rakh
wahi karunga ishaara jo kar raha hun main
suKHan safar mein badan us ne khol rakkhe hain
zara sa saya-e-diwar chahta hun main
main chahta hun kahun ek nak-chaDhi si ghazal
agarche halqa-e-yaran mein nak-chaDha hun main
mujhe qarib se dekho mujhe paDho samjho
nae safar nae mausam ka qafila hun main
- Book : pabarhana(poetry) (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.