ye aur baat ki tujh bin teri tamanna mein
ye aur baat ki tujh bin tirī tamanna meñ
guzar rahe haiñ mire din tirī tamanna meñ
tire shabāb ke sailāb meñ na bah jaa.eñ
jo ḳhvāb haiñ abhī kam-sin tirī tamanna meñ
na jaane kyā tujhe bhā jaa.e aur tū aa jaa.e
sajā hai zāhir-o-bātin tirī tamanna meñ
isī liye to kisī se ziyāñ kā zikr nahīñ
koī nahīñ mirā zāmin tirī tamanna meñ
har ik taraf se jo kāfir qarār paa.e the
vo log ho ga.e momin tirī tamanna meñ
ye aur baat ki tujh bin teri tamanna mein
guzar rahe hain mere din teri tamanna mein
tere shabab ke sailab mein na bah jaen
jo KHwab hain abhi kam-sin teri tamanna mein
na jaane kya tujhe bha jae aur tu aa jae
saja hai zahir-o-baatin teri tamanna mein
isi liye to kisi se ziyan ka zikr nahin
koi nahin mera zamin teri tamanna mein
har ek taraf se jo kafir qarar pae the
wo log ho gae momin teri tamanna mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.