ye aur baat ki us se hai wasta dil ka
ye aur baat ki us se hai vāsta dil kā
jo aa gayā to ajab haal ho gayā dil kā
jo chāhe dekhnā dekhe vo bātinī tasvīr
uThā.e haath meñ phirtā huuñ aa.ina dil kā
sukūñ mile to fasurda ho iztirāb to ḳhush
samajh sakā na koī bhī mo.āmla dil kā
ab āḳhir aise musāfir ko kyā kahā jaa.e
jo pūchhtā hai har ik gaam faisla dil kā
jo bevafā haiñ vahī apnoñ jaise lagte haiñ
ajiib logoñ se rahtā hai vāsta dil kā
qabā.eñ vaqt ne ma.anī kī laakh pahnā.īñ
magar samajh na sakā koī falsafa dil kā
bachā ke rakhnā hai ai 'shān' dostī kā bharam
vagarna kam nahīñ hone kā fāsla dil kā
ye aur baat ki us se hai wasta dil ka
jo aa gaya to ajab haal ho gaya dil ka
jo chahe dekhna dekhe wo baatini taswir
uThae hath mein phirta hun aaina dil ka
sukun mile to fasurda ho iztirab to KHush
samajh saka na koi bhi moamla dil ka
ab aaKHir aise musafir ko kya kaha jae
jo puchhta hai har ek gam faisla dil ka
jo bewafa hain wahi apnon jaise lagte hain
ajib logon se rahta hai wasta dil ka
qabaen waqt ne mani ki lakh pahnain
magar samajh na saka koi falsafa dil ka
bacha ke rakhna hai ai 'shan' dosti ka bharam
wagarna kam nahin hone ka fasla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.