ye aur baat ki sohbat mein hain aminon ki
ye aur baat kī sohbat meñ haiñ amīnoñ kī
magar vo aabrū rakhte nahīñ hasīnoñ kī
hamāre sīnoñ meñ mahfūz hai ḳhudā kā kalām
koī lagā.e na qīmat hamāre sīnoñ kī
nikal paḌe haiñ jo ab nā-ḳhudā ko chhoḌe hue
ḳhabar to le koī un Dūbte safīnoñ kī
jahāñ pe sirf mohabbat parast rahte haiñ
vahāñ pe koī bhī qīmat nahīñ zamīnoñ kī
zarā sī baat bigaḌtī hai ruuTh jaatī haiñ
ḳharāb lagtī hai 'ādat ye mah-jabīnoñ kī
ḳhudā ke ḳhauf se haT kar kahīñ jo aur baheñ
nahīñ hai qadr un ashkoñ ke ābgīnoñ kī
hamārā naam bhī aa.egā us meñ ai 'minhāj'
kabhī banegī jo fehrist nām-chīnoñ kī
ye aur baat ki sohbat mein hain aminon ki
magar wo aabru rakhte nahin hasinon ki
hamare sinon mein mahfuz hai KHuda ka kalam
koi lagae na qimat hamare sinon ki
nikal paDe hain jo ab na-KHuda ko chhoDe hue
KHabar to le koi un Dubte safinon ki
jahan pe sirf mohabbat parast rahte hain
wahan pe koi bhi qimat nahin zaminon ki
zara si baat bigaDti hai ruTh jati hain
KHarab lagti hai 'adat ye mah-jabinon ki
KHuda ke KHauf se haT kar kahin jo aur bahen
nahin hai qadr un ashkon ke aabginon ki
hamara nam bhi aaega us mein ai 'minhaj'
kabhi banegi jo fehrist nam-chinon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.