ye baam nahin the ye dar aise to nahin the
ye baam nahīñ the ye dar aise to nahīñ the
jab ham the to shām-o-sahar aise to nahīñ the
ye kyā ki ḳhafā ho to uThā lete ho ḳhanjar
tum shoḳh bahut the magar aise to nahīñ the
le jā ke use biich samundar meñ uḌāte
majbūr parinde ke par aise to nahīñ the
dekho to nazar talḳh jo chakkho to zabāñ talḳh
phuul aise nahīñ the samar aise to nahīñ the
jis peḌ pe rahte ho usī peḌ ko kaaTo
kyā ho gayā tum be-hunar aise to nahīñ the
sūraj kī jagah sham' samundar kī jagah nahr
the ḳhuub muqaddar magar aise to nahīñ the
ye baam nahin the ye dar aise to nahin the
jab hum the to sham-o-sahar aise to nahin the
ye kya ki KHafa ho to uTha lete ho KHanjar
tum shoKH bahut the magar aise to nahin the
le ja ke use bich samundar mein uDate
majbur parinde ke par aise to nahin the
dekho to nazar talKH jo chakkho to zaban talKH
phul aise nahin the samar aise to nahin the
jis peD pe rahte ho usi peD ko kaTo
kya ho gaya tum be-hunar aise to nahin the
suraj ki jagah sham' samundar ki jagah nahr
the KHub muqaddar magar aise to nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.