ye bar-e-gham uTha kar dekhte hain
ye bār-e-ġham uThā kar dekhte haiñ
tumheñ bhī aazmā kar dekhte haiñ
baḌā hai zo.am is pāgal havā ko
diye ham bhī jalā kar dekhte haiñ
hai mumkin zindagī aa.e samajh ab
dobāra sar khapā kar dekhte haiñ
hamāre zaḳhm kā kyā haal hai vo
gale ham ko lagā kar dekhte haiñ
yaqīñ duniyā pe phir hone lagā hai
chalo phir choT khā kar dekhte haiñ
pighaltī hī nahīñ ashkoñ se duniyā
zarā sā muskurā kar dekhte haiñ
muḳhālif ishq ke tum ho jo 'vāhid'
tumhārī nas dabā kar dekhte haiñ
ye bar-e-gham uTha kar dekhte hain
tumhein bhi aazma kar dekhte hain
baDa hai zoam is pagal hawa ko
diye hum bhi jala kar dekhte hain
hai mumkin zindagi aae samajh ab
dobara sar khapa kar dekhte hain
hamare zaKHm ka kya haal hai wo
gale hum ko laga kar dekhte hain
yaqin duniya pe phir hone laga hai
chalo phir choT kha kar dekhte hain
pighalti hi nahin ashkon se duniya
zara sa muskura kar dekhte hain
muKHalif ishq ke tum ho jo 'wahid'
tumhaari nas daba kar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.