ye baat kaun samajhta gham-ashna ke siwa
ye baat kaun samajhtā ġham-āshnā ke sivā
hayāt kuchh bhī nahīñ hai tirī razā ke sivā
tirā karam ki milī rif.at-e-qubūl ise
hamāre paas hai kyā āh-e-nā-rasā ke sivā
vo āzmā.ish-e-paiham vo merā sabr tamām
zabāñ pe lafz na aaya koī duā ke sivā
pighal rahā hai jo māhaul kā jumūd tamām
nahīñ mire asar-e-sho.ala-e-navā ke sivā
ye baat kaun samajhta gham-ashna ke siwa
hayat kuchh bhi nahin hai teri raza ke siwa
tera karam ki mili rifat-e-qubul ise
hamare pas hai kya aah-e-na-rasa ke siwa
wo aazmaish-e-paiham wo mera sabr tamam
zaban pe lafz na aaya koi dua ke siwa
pighal raha hai jo mahaul ka jumud tamam
nahin mere asar-e-shoala-e-nawa ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.