ye baat munkashif hui charag ke baghair bhi
ye baat munkashif huī charāg ke baġhair bhī
maiñ DhūñD lūñgā har ḳhushī charāg ke baġhair bhī
huā thā jis jagah kabhī visāl-e-yār dosto
hai us jagah pe raushnī charāg ke baġhair bhī
likkhī ga.ī haiñ jis ke saath zindagī kī manzileñ
vo aa milegā aadmī charāg ke baġhair bhī
masarratoñ ke qāfile luTā rahī hai phir mujhe
tirī ye ḳhud-supurdagī charāg ke baġhair bhī
maiñ tazkira karūñ to kyā karūñ jamāl-e-yār kā
damak rahī thī dilkashī charāg ke baġhair bhī
tumhārī ek yaad be-shumār hasratoñ ke rañg
nigāh meñ sajā ga.ī charāg ke baġhair bhī
gila kisī se kyuuñ karūñ guzar hī jā.egī 'ḳhayāl'
ye muḳhtasar sī zindagī charāg ke baġhair bhī
ye baat munkashif hui charag ke baghair bhi
main DhunD lunga har KHushi charag ke baghair bhi
hua tha jis jagah kabhi visal-e-yar dosto
hai us jagah pe raushni charag ke baghair bhi
likkhi gai hain jis ke sath zindagi ki manzilen
wo aa milega aadmi charag ke baghair bhi
masarraton ke qafile luTa rahi hai phir mujhe
teri ye KHud-supurdagi charag ke baghair bhi
main tazkira karun to kya karun jamal-e-yar ka
damak rahi thi dilkashi charag ke baghair bhi
tumhaari ek yaad be-shumar hasraton ke rang
nigah mein saja gai charag ke baghair bhi
gila kisi se kyun karun guzar hi jaegi 'KHayal'
ye muKHtasar si zindagi charag ke baghair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.