ye bad-qimash jo ahal-e-ata bane hue hain
ye bad-qimāsh jo ahal-e-atā bane hue haiñ
bashar to ban nahīñ sakte ḳhudā bane hue haiñ
maiñ jāntā huuñ kuchh aise aziim logoñ ko
jo zulm sah ke sarāpā duā bane hue haiñ
vo mujh se haath chhuḌā le to kuchh ajab bhī nahīñ
use ḳhabar hai ki hālāt kyā bane hue haiñ
luḌhaktā jā.ūñ kahāñ tak maiñ saath saath un ke
mire sharīk-e-safar to havā bane hue haiñ
tū ḳhalvatoñ meñ unheñ dekh le to Dar jaa.e
ye jitne log yahāñ pārsā bane hue haiñ
kabhī-kabhār to aisā gumāñ guzartā hai
hamāre haath ke arz-o-samā bane hue haiñ
hamīñ se ho ke pahuñchnā hai tum ko manzil tak
guzar bhī jaanā ki ham rāstā bane hue haiñ
hazāroñ log bichhaḌte rahe haiñ mil mil kar
so zindagī meñ bahut se ḳhalā bane hue haiñ
kisī se mil ke bane the jo zard lamhoñ meñ
vo sabz-ḳhvāb mirā aasrā bane hue haiñ
ye bad-qimash jo ahal-e-ata bane hue hain
bashar to ban nahin sakte KHuda bane hue hain
main jaanta hun kuchh aise azim logon ko
jo zulm sah ke sarapa dua bane hue hain
wo mujh se hath chhuDa le to kuchh ajab bhi nahin
use KHabar hai ki haalat kya bane hue hain
luDhakta jaun kahan tak main sath sath un ke
mere sharik-e-safar to hawa bane hue hain
tu KHalwaton mein unhen dekh le to Dar jae
ye jitne log yahan parsa bane hue hain
kabhi-kabhaar to aisa guman guzarta hai
hamare hath ke arz-o-sama bane hue hain
hamin se ho ke pahunchna hai tum ko manzil tak
guzar bhi jaana ki hum rasta bane hue hain
hazaron log bichhaDte rahe hain mil mil kar
so zindagi mein bahut se KHala bane hue hain
kisi se mil ke bane the jo zard lamhon mein
wo sabz-KHwab mera aasra bane hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.