ye bahaar-o-KHizan ke afsane
ye bahār-o-ḳhizāñ ke afsāne
log bhī kis qadar haiñ dīvāne
kaun sī manzil-e-hayāt hai ye
dil fasurda ḳhamosh maiḳhāne
aap to sochte rahe lekin
jal mujhe muskurā ke parvāne
haiñ yahī vaqt kī matā-e-azīz
chand āzurda qalb dīvāne
ye bahaar-o-KHizan ke afsane
log bhi kis qadar hain diwane
kaun si manzil-e-hayat hai ye
dil fasurda KHamosh maiKHane
aap to sochte rahe lekin
jal mujhe muskura ke parwane
hain yahi waqt ki mata-e-aziz
chand aazurda qalb diwane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.