ye bahaaren ye chaman ye aashiyan mere liye

ye bahaaren ye chaman ye aashiyan mere liye
Pandit Vidya Ratan Aasi
MORE BYPandit Vidya Ratan Aasi
ye bahāreñ ye chaman ye āshiyāñ mere liye
sar-ba-sar sābit hue āzār-e-jāñ mere liye
pūchhte kyā ho dil-e-be-ḳhānamāñ kī dosto
ik musībat hai dil-e-be-ḳhānamāñ mere liye
ab tabī.at mushkiloñ se is qadar mānūs hai
fasl-e-gul se kam nahīñ daur-e-ḳhizāñ mere liye
chal diyā jab nāḳhudā tūfāñ meñ mujh ko chhoḌ kar
ban ga.ī sāhil har ik mauj-e-ravāñ mere liye
kaun sī hai vo musībat mujh pe jo TuuTī nahīñ
rāt-din gardish meñ haiñ haft āsmāñ mere liye
laakh huuñ be-vasf lekin muddatoñ yaad ā.ūñgā
muddatoñ duniyā rahegī nauha-ḳhvāñ mere liye
maiñ ne 'āsī' tark kar dī zindagī ye soch kar
kyoñ sahe ye har balā-e-nā-gahāñ mere liye
ye bahaaren ye chaman ye aashiyan mere liye
sar-ba-sar sabit hue aazar-e-jaan mere liye
puchhte kya ho dil-e-be-KHanaman ki dosto
ek musibat hai dil-e-be-KHanaman mere liye
ab tabiat mushkilon se is qadar manus hai
fasl-e-gul se kam nahin daur-e-KHizan mere liye
chal diya jab naKHuda tufan mein mujh ko chhoD kar
ban gai sahil har ek mauj-e-rawan mere liye
kaun si hai wo musibat mujh pe jo TuTi nahin
raat-din gardish mein hain haft aasman mere liye
lakh hun be-wasf lekin muddaton yaad aaunga
muddaton duniya rahegi nauha-KHwan mere liye
main ne 'asi' tark kar di zindagi ye soch kar
kyon sahe ye har bala-e-na-gahan mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.