ye ban-sanwar ke meri sadgi mein lauT aae
ye ban-sañvar ke mirī sādgī meñ lauT aa.e
mire ḳhayāl mirī shā.irī meñ lauT aa.e
use kaho ki mirī zaat ab bhī baaqī hai
diyā bujhā de mirī raushnī meñ lauT aa.e
vo jis tarah se parinde shajar pe lauTte haiñ
ham apne aap se nikle tujhī meñ lauT aa.e
jo maiñ hañsūñ to mirā ashk ban ke vo chhalke
kisī tarah se vo merī hañsī meñ lauT aa.e
ḳhushī milī bhī to ham ko kabhī na raas i
udāsiyoñ ke sabab is ḳhushī meñ lauT aa.e
phisaltī ret sā hāthoñ se gir gayā thā jo
vo guzrā vaqt kabhī phir ghaḌī meñ lauT aa.e
hameñ to ek hī chehre kā kaam hotā hai
haTā ke bhiiḌ ko ham phir usī meñ lauT aa.e
baḌe ġhurūr se nikle the alvidā.a kah kar
bas ek baar pukārā galī meñ lauT aa.e
ye ban-sanwar ke meri sadgi mein lauT aae
mere KHayal meri shairi mein lauT aae
use kaho ki meri zat ab bhi baqi hai
diya bujha de meri raushni mein lauT aae
wo jis tarah se parinde shajar pe lauTte hain
hum apne aap se nikle tujhi mein lauT aae
jo main hansun to mera ashk ban ke wo chhalke
kisi tarah se wo meri hansi mein lauT aae
KHushi mili bhi to hum ko kabhi na ras i
udasiyon ke sabab is KHushi mein lauT aae
phisalti ret sa hathon se gir gaya tha jo
wo guzra waqt kabhi phir ghaDi mein lauT aae
hamein to ek hi chehre ka kaam hota hai
haTa ke bhiD ko hum phir usi mein lauT aae
baDe ghurur se nikle the alwidaa kah kar
bas ek bar pukara gali mein lauT aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.