ye barf-zar badan se na jaan se niklega
ye barf-zār badan se na jaañ se niklegā
lahū ho sard to sho.ala kahāñ se niklegā
hazār ghere rahe jabr kā hisār-e-siyah
ki bāb-e-rāh-e-amāñ darmiyāñ se niklegā
jo talḳh harf pas-e-lab hai 'aam bhī hogā
chaḌhā hai tiir to āḳhir kamāñ se niklegā
jo peḌ phal nahīñ dete vo kāTte jaao
ḳhizāñ kā zahr yūñhī gulsitāñ se niklegā
zarā chale to sahī pāniyoñ pe tez havā
khaḌā safīna khule bādbāñ se niklegā
koī to kaam lo ġham se rageñ hī chamkāo
jaleñgī sham'eñ añdherā makāñ se niklegā
khule haiñ rāstoñ ke bhed tū samajh 'shāhīñ'
ye kārvāñ safar-e-rā.egāñ se niklegā
ye barf-zar badan se na jaan se niklega
lahu ho sard to shoala kahan se niklega
hazar ghere rahe jabr ka hisar-e-siyah
ki bab-e-rah-e-aman darmiyan se niklega
jo talKH harf pas-e-lab hai 'am bhi hoga
chaDha hai tir to aaKHir kaman se niklega
jo peD phal nahin dete wo kaTte jao
KHizan ka zahr yunhi gulsitan se niklega
zara chale to sahi paniyon pe tez hawa
khaDa safina khule baadban se niklega
koi to kaam lo gham se ragen hi chamkao
jalengi sham'en andhera makan se niklega
khule hain raston ke bhed tu samajh 'shahin'
ye karwan safar-e-raegan se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.