ye bata de mujhko mere dil kise aawaz dun
ye batā de mujh ko mere dil kise āvāz duuñ
ḳhud masīhā hai mirā qātil kise āvāz duuñ
jitne saaqī the mire sab nazr-e-tūfāñ ho ga.e
aur kosoñ duur hai sāhil kise āvāz duuñ
le gayā vo saath apne gulshan-e-dil kī bahār
suunī suunī hai mirī mahfil kise āvāz duuñ
haal merā ḳhanjar-e-māzī se zaḳhmī ho gayā
ro rahā hai merā mustaqbil kise āvāz duuñ
vo chalātā hai ajab andāz se tīr-e-nazar
aur meñ ho jaatā huuñ bismil kise āvāz duuñ
kaun hai mushkil-kushā merā qabā tere sivā
jab paḌe mujh par koī mushkil kise āvāz duuñ
jaañ nichhāvar kar rahā thā mujh pe jo 'afzal' kabhī
dushmanoñ meñ vo bhī hai shāmil kise āvāz duuñ
ye bata de mujh ko mere dil kise aawaz dun
KHud masiha hai mera qatil kise aawaz dun
jitne saqi the mere sab nazr-e-tufan ho gae
aur koson dur hai sahil kise aawaz dun
le gaya wo sath apne gulshan-e-dil ki bahaar
suni suni hai meri mahfil kise aawaz dun
haal mera KHanjar-e-mazi se zaKHmi ho gaya
ro raha hai mera mustaqbil kise aawaz dun
wo chalata hai ajab andaz se tir-e-nazar
aur mein ho jata hun bismil kise aawaz dun
kaun hai mushkil-kusha mera qaba tere siwa
jab paDe mujh par koi mushkil kise aawaz dun
jaan nichhawar kar raha tha mujh pe jo 'afzal' kabhi
dushmanon mein wo bhi hai shamil kise aawaz dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.