ye bata mujhe tera ham-safar nahin hai kya
ye batā mujhe terā ham-safar nahīñ hai kyā
koī bhī zamāne meñ mo'atabar nahīñ hai kyā
chand roz rahnā hai phir yahāñ se jaanā hai
zindagī to hai lekin muḳhtasar nahīñ hai kyā
jo hamārī chaukhaT par aaj tak nahīñ baiThā
ye batā.iye ham ko dar-ba-dar nahīñ hai kyā
mat sunāo tum us ko hāl-e-dil mirā koī
vo mirī mohabbat se bā-ḳhabar nahīñ hai kyā
us parī ke siine meñ dil nahīñ hai patthar hai
merī har sadā-e-dil be-asar nahīñ hai kyā
ishq kā hai gar da.avā le ke aa hathelī par
sar-buland hone ko terā sar nahīñ hai kyā
dil ko dene vāloñ se pochhiye sharar 'naqvī'
pyār-vyār ye sab kuchh dard-e-sar nahīñ hai kyā
ye bata mujhe tera ham-safar nahin hai kya
koi bhi zamane mein mo'atabar nahin hai kya
chand roz rahna hai phir yahan se jaana hai
zindagi to hai lekin muKHtasar nahin hai kya
jo hamari chaukhaT par aaj tak nahin baiTha
ye bataiye hum ko dar-ba-dar nahin hai kya
mat sunao tum us ko haal-e-dil mera koi
wo meri mohabbat se ba-KHabar nahin hai kya
us pari ke sine mein dil nahin hai patthar hai
meri har sada-e-dil be-asar nahin hai kya
ishq ka hai gar dawa le ke aa hatheli par
sar-buland hone ko tera sar nahin hai kya
dil ko dene walon se pochhiye sharar 'naqwi'
pyar-wyar ye sab kuchh dard-e-sar nahin hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.