ye be-KHayali ka manzar dikhai deta hai
ye be-ḳhayālī kā manzar dikhā.ī detā hai
ke boltā nahīñ kuchh par sunā.ī detā hai
vo tīrgī hai na kuchh bhī dikhā.ī detā hai
bas ek maañ kā hī chehra dikhā.ī detā hai
ye shahr-e-ḳhvāb meñ reza hue sabhī sapne
na vāpsī kā vo rastā dikhā.ī detā hai
ye shab to kahne ko tārīk hai bahut lekin
umiid kā ik ujālā dikhā.ī detā hai
nikal paḌe haiñ to kyā pyaas aur kaisī dhuup
bas apne gaañv kā manzar dikhā.ī detā hai
vafā usuul mohabbat sukūn e'tibār
ġhalat har ek kā ma'ānī dikhā.ī detā hai
ye be-KHayali ka manzar dikhai deta hai
ke bolta nahin kuchh par sunai deta hai
wo tirgi hai na kuchh bhi dikhai deta hai
bas ek man ka hi chehra dikhai deta hai
ye shahr-e-KHwab mein reza hue sabhi sapne
na wapsi ka wo rasta dikhai deta hai
ye shab to kahne ko tarik hai bahut lekin
umid ka ek ujala dikhai deta hai
nikal paDe hain to kya pyas aur kaisi dhup
bas apne ganw ka manzar dikhai deta hai
wafa usul mohabbat sukun e'tibar
ghalat har ek ka ma'ani dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.