ye be-mausam jo purwai bahut hai
ye be-mausam jo purvā.ī bahut hai
surūr-e-dard-e-tanhā.ī bahut hai
sharīk-e-ġham na ho koī to achchhā
akelī ho to tanhā.ī bahut hai
abas shikva kī būñdeñ DhūñDhte ho
mire hoñToñ kī gahrā.ī bahut hai
to kyā maiñ dushmanoñ meñ aa gayā huuñ
yahāñ to shor-e-paspā.ī bahut hai
vo chaltā hai hamesha bhiiḌ le kar
use ehsās-e-tanhā.ī bahut hai
tumhārī yaad kitnī bā-vafā hai
ki jab aa.ī hai to aa.ī bahut hai
kahā thā tum ne tanhā.ī meñ milnā
ab aa jaao ki tanhā.ī bahut hai
tum ab 'saulat' kaho kuchh shoḳh ġhazleñ
jo dil ne lī vo añgḌā.ī bahut hai
ye be-mausam jo purwai bahut hai
surur-e-dard-e-tanhai bahut hai
sharik-e-gham na ho koi to achchha
akeli ho to tanhai bahut hai
abas shikwa ki bunden DhunDhte ho
mere honTon ki gahrai bahut hai
to kya main dushmanon mein aa gaya hun
yahan to shor-e-paspai bahut hai
wo chalta hai hamesha bhiD le kar
use ehsas-e-tanhai bahut hai
tumhaari yaad kitni ba-wafa hai
ki jab aai hai to aai bahut hai
kaha tha tum ne tanhai mein milna
ab aa jao ki tanhai bahut hai
tum ab 'saulat' kaho kuchh shoKH ghazlen
jo dil ne li wo angDai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.