ye bedad-e-bahaar-e-fitna-saman kaun dekhega
ye bedād-e-bahār-e-fitna-sāmāñ kaun dekhegā
bharī barsāt meñ jaltā gulistāñ kaun dekhegā
bachā lenā to mumkin hai bhañvar se apnī kashtī ko
jo poshīda ho sāhil meñ vo tūfāñ kaun dekhegā
sar-e-mahfil to parvānoñ ko jaltā sab ne dekhā hai
tirā soz-e-darūñ ai sham.a-e-giryāñ kaun dekhegā
lahū se likh to dī tārīḳh-e-āzādī asīroñ ne
kise fursat dar-o-dīvār-e-zindāñ kaun dekhegā
gul-afshānī to kartī hai hamārī chashm-e-tar lekin
is andhe shahar meñ taz.īn-e-dāmāñ kaun dekhegā
na ho ābād rindoñ se jo terī anjuman saaqī
tere dast-e-karam ke jūd-o-ehsāñ kaun dekhegā
yahāñ to fikr hai 'bahzād' apne hī garebāñ kī
faqīr-e-shahr kā chāk-e-garebāñ kaun dekhegā
ye bedad-e-bahaar-e-fitna-saman kaun dekhega
bhari barsat mein jalta gulistan kaun dekhega
bacha lena to mumkin hai bhanwar se apni kashti ko
jo poshida ho sahil mein wo tufan kaun dekhega
sar-e-mahfil to parwanon ko jalta sab ne dekha hai
tera soz-e-darun ai shama-e-giryan kaun dekhega
lahu se likh to di tariKH-e-azadi asiron ne
kise fursat dar-o-diwar-e-zindan kaun dekhega
gul-afshani to karti hai hamari chashm-e-tar lekin
is andhe shahar mein tazin-e-daman kaun dekhega
na ho aabaad rindon se jo teri anjuman saqi
tere dast-e-karam ke jud-o-ehsan kaun dekhega
yahan to fikr hai 'bahzad' apne hi gareban ki
faqir-e-shahr ka chaak-e-gareban kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.