ye bhala kaisi inkisari hai
ye bhalā kaisī inkisārī hai
zindagī ḳhaak meñ guzārī hai
us ne jhelā hai ye pahāḌ sā din
ham ne āñkhoñ meñ shab guzārī hai
raat kaise mirī basar hogī
jab ki ye shaam itnī bhārī hai
dil ke jangal meñ haiñ akele ham
us pe ye raat bhī shikārī hai
baad tere samajh nahīñ aatā
kis tarah kī ye ashk-bārī hai
jis ko dekhūñ use pukārtā huuñ
mujh pe ik ism kī ḳhumārī hai
tum jinheñ ashk kah rahe ho 'umar'
vo mohabbat kī rezgārī hai
ye bhala kaisi inkisari hai
zindagi KHak mein guzari hai
us ne jhela hai ye pahaD sa din
hum ne aankhon mein shab guzari hai
raat kaise meri basar hogi
jab ki ye sham itni bhaari hai
dil ke jangal mein hain akele hum
us pe ye raat bhi shikari hai
baad tere samajh nahin aata
kis tarah ki ye ashk-bari hai
jis ko dekhun use pukarta hun
mujh pe ek ism ki KHumari hai
tum jinhen ashk kah rahe ho 'umar'
wo mohabbat ki rezgari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.