ye bhi hua ki filon ke darmiyan milin
ye bhī huā ki filoñ ke darmiyāñ milīñ
mujh ko kahāñ kahāñ mirī tanhā.iyāñ milīñ
fariyād merī daftaroñ meñ gūñjtī rahī
raddī ke Dher meñ mirī sab arziyāñ milīñ
ham ā.inoñ ke shahr meñ nikle the sair ko
har gaam chand ajnabī parchhā.iyāñ milīñ
phīke tabassumoñ se saje kuchh mahal mile
aur qahqahoñ meñ Duubī huī jhuggiyāñ milīñ
chhoTā sā shahr hī sahī lekin yahāñ mujhe
sahrā mile sarāb mile dūriyāñ milīñ
jaane se pahle milne kī ḳhvāhish rahī use
jaane ke ba.ad us kī mujhe chhuTTiyāñ milīñ
ye bhi hua ki filon ke darmiyan milin
mujh ko kahan kahan meri tanhaiyan milin
fariyaad meri daftaron mein gunjti rahi
raddi ke Dher mein meri sab arziyan milin
hum aainon ke shahr mein nikle the sair ko
har gam chand ajnabi parchhaiyan milin
phike tabassumon se saje kuchh mahal mile
aur qahqahon mein Dubi hui jhuggiyan milin
chhoTa sa shahr hi sahi lekin yahan mujhe
sahra mile sarab mile duriyan milin
jaane se pahle milne ki KHwahish rahi use
jaane ke baad us ki mujhe chhuTTiyan milin
- Book : Namak (Pg. 148)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.