ye bhi israr koi rauzan-e-dar baz na ho
ye bhī isrār koī rauzan-e-dar baaz na ho
saañs lete raho par saañs kī āvāz na ho
yak-ba-yak ālam-e-iz.hār meñ sannāTe kī guuñj
aane vaale kisī tūfān kī ġhammāz na ho
sher-o-fan āzar-e-hāzir ke tarāshīda sanam
tohmat-e-lauh-o-qalam tausan-e-parvāz na ho
phir tirī yaad se raushan huā kāshāna-e-dil
vus.at-e-kaun-o-makāñ jalva-gah-e-nāz na ho
vaqt ke jabr se kab kār-e-junūñ-ḳhez rukā
koshish-e-sañg-zanī nuqta-e-āġhāz na ho
ye bhi israr koi rauzan-e-dar baz na ho
sans lete raho par sans ki aawaz na ho
yak-ba-yak aalam-e-izhaar mein sannaTe ki gunj
aane wale kisi tufan ki ghammaz na ho
sher-o-fan aazar-e-hazir ke tarashida sanam
tohmat-e-lauh-o-qalam tausan-e-parwaz na ho
phir teri yaad se raushan hua kashana-e-dil
wusat-e-kaun-o-makan jalwa-gah-e-naz na ho
waqt ke jabr se kab kar-e-junun-KHez ruka
koshish-e-sang-zani nuqta-e-aghaz na ho
- Book : Shora-e-London (Pg. 163)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.