ye bhi koi baat ki sirf tamasha kar
ye bhī koī baat ki sirf tamāshā kar
bech rahā huuñ jins-e-dil-o-jāñ saudā kar
merī ḳhalvat kuchh hañgāme rakhtī hai
aur bhī log aate haiñ tū bhī aayā kar
apnī nisbat kā ezaaz na mujh se chhīn
jitnā jī chāhe tū mujh ko rusvā kar
tujh ko apne saath Dubone vaalā maiñ
mere liye ek ek se tū mat uljhā kar
maiñ bhī dekhūñ tiir pe ram zanjīr pe raqs
kuchh to vahshat mere ġhazāl-e-ra.anā kar
ghol de hijr ke rañgoñ meñ kuchh dil kā lahū
koī naqsh to us kī yaad kā zinda kar
dekh apnī āñkhoñ se ravāñ asr-e-umar
'ramz' apne kufr-e-anā se tauba kar
ye bhi koi baat ki sirf tamasha kar
bech raha hun jins-e-dil-o-jaan sauda kar
meri KHalwat kuchh hangame rakhti hai
aur bhi log aate hain tu bhi aaya kar
apni nisbat ka ezaz na mujh se chhin
jitna ji chahe tu mujh ko ruswa kar
tujh ko apne sath Dubone wala main
mere liye ek ek se tu mat uljha kar
main bhi dekhun tir pe ram zanjir pe raqs
kuchh to wahshat mere ghazal-e-rana kar
ghol de hijr ke rangon mein kuchh dil ka lahu
koi naqsh to us ki yaad ka zinda kar
dekh apni aankhon se rawan asr-e-umar
'ramz' apne kufr-e-ana se tauba kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.