ye bhi kya sham-e-mulaqat aai
ye bhī kyā shām-e-mulāqāt aa.ī
lab pe mushkil se tirī baat aa.ī
sub.h se chup haiñ tire hijr-nasīb
haa.e kyā hogā agar raat aa.ī
bastiyāñ chhoḌ ke barse bādal
kis qayāmat kī ye barsāt aa.ī
koī jab mil ke huā thā ruḳhsat
dil-e-betāb vahī raat aa.ī
sāya-e-zulf-e-butāñ meñ 'nāsir'
ek se ek na.ī raat aa.ī
ye bhi kya sham-e-mulaqat aai
lab pe mushkil se teri baat aai
subh se chup hain tere hijr-nasib
hae kya hoga agar raat aai
bastiyan chhoD ke barse baadal
kis qayamat ki ye barsat aai
koi jab mil ke hua tha ruKHsat
dil-e-betab wahi raat aai
saya-e-zulf-e-butan mein 'nasir'
ek se ek nai raat aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.