ye bhi mumkin hai miyan aankh bhigone lag jaun
ye bhī mumkin hai miyāñ aañkh bhigone lag jā.ūñ
vo kahe kaise ho tum aur maiñ rone lag jā.ūñ
ai mirī aañkh meñ Thahrā.e hue vasl ke ḳhvāb
meñ tavātur se tire saath na sone lag jā.ūñ
mujh ko har chiiz mayassar hai mohabbat meñ so ab
rā.egānī maiñ tire daaġh na dhone lag jā.ūñ
itnī ḳhush-fahmī meñ nuqsān na ho jaa.e kahīñ
maiñ koī paa.ī huī chiiz na khone lag jā.ūñ
jā-ba-jā bikhre hue haiñ mire ḳhvāb aur ḳhayāl
maiñ ye sāmān kahīñ aur na Dhone lag jā.ūñ
jhiil meñ paañv utāre haiñ kisī ne 'ejāz'
kyoñ na ab maiñ bhī yahāñ haath Dubone lag jā.ūñ
ye bhi mumkin hai miyan aankh bhigone lag jaun
wo kahe kaise ho tum aur main rone lag jaun
ai meri aankh mein Thahrae hue wasl ke KHwab
mein tawatur se tere sath na sone lag jaun
mujh ko har chiz mayassar hai mohabbat mein so ab
raegani main tere dagh na dhone lag jaun
itni KHush-fahmi mein nuqsan na ho jae kahin
main koi pai hui chiz na khone lag jaun
ja-ba-ja bikhre hue hain mere KHwab aur KHayal
main ye saman kahin aur na Dhone lag jaun
jhil mein panw utare hain kisi ne 'ejaz'
kyon na ab main bhi yahan hath Dubone lag jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.