ye bhi nahin ki baala-o-bartar nahin hun main
ye bhī nahīñ ki bālā-o-bartar nahīñ huuñ maiñ
maanā ki musht-e-ḳhāk se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ
kaafī hai ik kiran bhī miTāne ke vāste
shabnam huuñ barg-e-gul pe samundar nahīñ huuñ maiñ
kyoñ kar qafas meñ mujh ko na aa.e chaman kī yaad
be-bāl-o-par zarūr huuñ be-ghar nahīñ huuñ maiñ
zulm-o-sitam kī saarī hadeñ paar kar gayā
phir bhī vo kah rahā hai sitamgar nahīñ huuñ maiñ
koh-e-ġham-o-alam ko kiyā maiñ ne paash paash
yuuñ dekhiye to āhan-o-patthar nahīñ huuñ maiñ
maiñ terā ek partav-e-fānī jahāñ meñ huuñ
goyā ye tai hai utnā bhī kamtar nahīñ huuñ maiñ
tārīk rāstoñ meñ kahā rāhbar ne 'nāz'
azm-e-safar ke nuur se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ
ye bhi nahin ki baala-o-bartar nahin hun main
mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main
kafi hai ek kiran bhi miTane ke waste
shabnam hun barg-e-gul pe samundar nahin hun main
kyon kar qafas mein mujh ko na aae chaman ki yaad
be-baal-o-par zarur hun be-ghar nahin hun main
zulm-o-sitam ki sari haden par kar gaya
phir bhi wo kah raha hai sitamgar nahin hun main
koh-e-gham-o-alam ko kiya main ne pash pash
yun dekhiye to aahan-o-patthar nahin hun main
main tera ek partaw-e-fani jahan mein hun
goya ye tai hai utna bhi kamtar nahin hun main
tarik raston mein kaha rahbar ne 'naz'
azm-e-safar ke nur se baDh kar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.