ye bhi nahin ki humne bharosa kiya na ho
ye bhī nahīñ ki ham ne bharosā kiyā na ho
ye bhī nahīñ ki aañkh se parda haTā na ho
ye bhī nahīñ ki aap samajh paa.eñ dil kī baat
ye bhī nahīñ ki aap ko kuchh bhī patā na ho
ye bhī nahīñ ki sab pe zamāna ho mehrbāñ
ye bhī nahīñ kisī se zamāna ḳhafā na ho
ye bhī nahīñ ki aañkh hai dar par lagī huī
ye bhī nahīñ ki dil ko koī aasrā na ho
ye bhī nahīñ ki zabt se guzre nahīñ kabhī
ye bhī nahīñ ki aañkh se aañsū bahā na ho
ye bhī nahīñ ki yaas ke bādal jame rahe
ye bhī nahīñ ki aas kā sūraj ugā na ho
ye bhī nahīñ ki va.ade nibāhe ga.e hoñ sab
ye bhī nahīñ ki koī bhī va.ada vafā na ho
ye bhi nahin ki hum ne bharosa kiya na ho
ye bhi nahin ki aankh se parda haTa na ho
ye bhi nahin ki aap samajh paen dil ki baat
ye bhi nahin ki aap ko kuchh bhi pata na ho
ye bhi nahin ki sab pe zamana ho mehrban
ye bhi nahin kisi se zamana KHafa na ho
ye bhi nahin ki aankh hai dar par lagi hui
ye bhi nahin ki dil ko koi aasra na ho
ye bhi nahin ki zabt se guzre nahin kabhi
ye bhi nahin ki aankh se aansu baha na ho
ye bhi nahin ki yas ke baadal jame rahe
ye bhi nahin ki aas ka suraj uga na ho
ye bhi nahin ki wade nibahe gae hon sab
ye bhi nahin ki koi bhi wada wafa na ho
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.