ye bhi shayad tera eajaz-e-nazar hai ai dost
ye bhī shāyad tirā e.ajāz-e-nazar hai ai dost
sho.ala-e-dard mujhe ik gul-e-tar hai ai dost
terī āvāz to sahrā meñ bhaTak jaatī hai
kis taraf jā.ūñ maiñ tū jaane kidhar hai ai dost
haa.e ye be-sar-o-sāmānī-o-be-tartībī
zindagī kyā kisī mai-ḳhvār kā ghar hai ai dost
kitne tūfānoñ ko sar kartī hai ik sham-e-vafā
aur vo sham-e-vafā dard-e-jigar hai ai dost
gar ho ḳhvābīda to patthar ke sivā kuchh bhī nahīñ
jaag jaa.e jo yahī dil to sharar hai ai dost
yuuñ to ġham ziist ko be-rañg banā detā hai
dil-jaloñ kā yahī sarmāye magar hai ai dost
ye bhi shayad tera eajaz-e-nazar hai ai dost
shoala-e-dard mujhe ek gul-e-tar hai ai dost
teri aawaz to sahra mein bhaTak jati hai
kis taraf jaun main tu jaane kidhar hai ai dost
hae ye be-sar-o-samani-o-be-tartibi
zindagi kya kisi mai-KHwar ka ghar hai ai dost
kitne tufanon ko sar karti hai ek sham-e-wafa
aur wo sham-e-wafa dard-e-jigar hai ai dost
gar ho KHwabida to patthar ke siwa kuchh bhi nahin
jag jae jo yahi dil to sharar hai ai dost
yun to gham zist ko be-rang bana deta hai
dil-jalon ka yahi sarmaye magar hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.